Here is an dialogue between Student (Khanzadajee) and Teacher (Idris Azad). Topic is “WHAT IS THE MEANING OF LA ILAHA ILALLAH“
khanzadajee: Assalam-o-Alikum
Idrees Azad: Wa alaicum Salam sorry main utha hua tha
Idrees Azad: Khair mubarak
Idrees Azad: aur aap ko b akhtar day mubarak sha
khanzadajee: its ohk sir ji
khanzadajee: so how is the day of eid-ul-fitre
Idrees Azad: fine r u zeb?
khanzadajee: yes
Idrees Azad: oh right. aap ko to etekaaf ki b mubarak ho
khanzadajee: khair mubarik
Idrees Azad: aap nay 10 din guzaray band ho kar
khanzadajee: hhahaha
khanzadajee: sir ji itna shaitan tu nahi hoo
khanzadajee: ke band ho giya
Idrees Azad: oh nahin yar
Idrees Azad: aray wah. ap nay to kamal bat badli
Idrees Azad: subhanallah
Idrees Azad: Allah ap ko aur aap kay ehl e khana ko khush rakhay
khanzadajee: yeh fun ap se hi seekha hai sir ji
khanzadajee: Ameen
Idrees Azad: aap ki hisse mazah hamaisha say bahut umda hay
khanzadajee: Allah apko khush rakhey
Idrees Azad: shukria aameen
khanzadajee: yeh uski karam nawazi hai
Idrees Azad: bay shak
khanzadajee: warna banda tu nacheez hai
Idrees Azad: yeh usi kareem ka karam hay
Idrees Azad: bay shak
khanzadajee: or sunaye sir ji ke sub theek thak hai
khanzadajee: Qasim ko meri taraf se Eid Mubarik keh dejiye ga
Idrees Azad: Allah ka shukar hay
Idrees Azad: qasim say keh dia wo abi online ho jai ga
Idrees Azad: zara pkanay main masroof hay
khanzadajee: acha kia pak raha hai
khanzadajee: sawiyan?
Idrees Azad: qorma.
Idrees Azad: murgh ka
khanzadajee: ammm monh me pani aa giya nam suntey hi
Idrees Azad: mujhay b bhook lagi hui hay
khanzadajee: acha….Qasim nak rooh hai uskey hath me ziaqa bhi acha ho g
Idrees Azad: han bahut hi acha zaiqa hota hay
Idrees Azad: isi liay to paka raha hay
khanzadajee: he is a very cute and gentlman
khanzadajee: I admire him
Idrees Azad: yes of course
Idrees Azad: aap kay bhai ka kia hal hay
Idrees Azad: unko meri taraf say eid mubarak keh dain
Idrees Azad: plz
khanzadajee: he is sleeping right now, but I will…..when he wokeup
khanzadajee: thanks
Idrees Azad: ok right
khanzadajee: sir ji in das ratoo me koshish ki ke LA ILAH HA ILALLAHO ka matlab samjh sakoo
Idrees Azad: i m on call
khanzadajee: ohk
khanzadajee: take u r time
Idrees Azad: oh
Idrees Azad: very good
Idrees Azad: to kuch samajh aai?
Idrees Azad: plz tell me if you got something like samajh
khanzadajee: hahahaa
khanzadajee: well I got little bit
khanzadajee: which is Yakeen-e-Kamil
Idrees Azad: oh plz little bit is more than enough
khanzadajee: Nahi koi bhi Mabood magar Allah, jo Raziq, Malik, Khaliq or sub se barh kar Rehman
khanzadajee: Sirf Mangna Shart
Idrees Azad: bay shak
khanzadajee: or mangna humko nahi aata
Idrees Azad: koi shak nahin
Idrees Azad: magar baghari maangay b o wo deta hay
khanzadajee: 1 baba ji miley or unho ney bus 1 baat kahi ke chor de khudi ko wali ho jai ga
Idrees Azad: jab keh allama iqbal farmaatay han khudi ko buland kar to wali ho jai ga
Idrees Azad: mera apna aik sher hay.
khanzadajee: beshak woh rahim bhi hai
Idrees Azad: tu khuda hay to bina maangay ata kar sabko
Idrees Azad: kiun teray dar peh koi ban kay sawali jai
khanzadajee: subhannallah
Idrees Azad: jab koi aam insaan sadqa deta hay
Idrees Azad: to wo yeh nahin kehta keh jo mujh say mangay ga main usay dunga
khanzadajee: Allah ho Akbar
Idrees Azad: aam insan yeh b nahin kehta keh jo jitni aajzi saymaangay ga main usay utna ziada doonga
Idrees Azad: balkeh aam insaan ka amal us waqt khuda kay amal say behtar mehsoos hota hay kiunkeh ba qaol mulla kay khuda ka amal yeh hain keh wo minnatain karnay walon ko deta hay
Idrees Azad: aam insaan khuda say behtara amal wala kaisay ho sakta hay?
Idrees Azad: impossible
Idrees Azad: chunaacheh saabit hua keh khuda minnatain karnay ka nahin kehta
Idrees Azad: balkeh ham par chhorta hay
Idrees Azad: keh ham kis tarah usay maantay hain
Idrees Azad: aik zaalim baadshah ki tarah
Idrees Azad: ya aik raheem maan ki tarah
Idrees Azad: ya aik shafeeq bap ki tarah jis tarah eesaai maantay hain
Idrees Azad: to bat yeh keh allah ki sab sifaat hain.
Idrees Azad: aur ham kisi aik sifat kay peechay par kar yeh samajhnay lagtay hainkeh wohi sara allah hay
Idrees Azad: sab sifaat but hain. but parasti hay sifaat ki pooja
Idrees Azad: zat ki ibaadat nahin ki jaati usay apnay andar utaara jata hay
Idrees Azad: salaaat ka arbi main tarjama hay nizaam e islaah
Idrees Azad: namaz to lafz hi faarsi ka hay
Idrees Azad: isi tarah allah ta’ala say ro ro kar maangnay wola allah ko kia samajhta hay. keh wo koi baadshah hay
Idrees Azad: toba toba
Idrees Azad: doston say koi b ro ro kar nahin mangta
Idrees Azad: allah ko dost banao to yeh maslay nahin rehtay
Idrees Azad: i am sorry yar
khanzadajee: Sir ji kion sharminda kartey hai
khanzadajee: Aap ney tu sahi matlab batya hai LA ILAH ka
Idrees Azad: oh thanks
Idrees Azad: bas main to yahi kehta hun keh molvi ham say chhupaata hay. haqeeqat ko
Idrees Azad: aur bas
khanzadajee: bilkul sahi keha
Idrees Azad: thanks
khanzadajee: molvi bhut kuch chuppata hai
Idrees Azad: http://www.youtube.com/watch?v=3xoctNSw44E
Idrees Azad: yeh haqeeqi movi hay
khanzadajee: wow
Idrees Azad: hay keh nahin?
khanzadajee: he is such a good singer
Idrees Azad: of course
Idrees Azad: really he is
khanzadajee: Uffffffffffffffff
Idrees Azad: ham nay is banday ki qadar nahin ki
khanzadajee: yeh tu mai bhi manta hoo
khanzadajee: or is cheez per achi khasi chand parade bhi hotee hai meri
khanzadajee: becoz mery ghar me molvi ziyda hai
Idrees Azad: hahahah
khanzadajee: sir ji 1 baat ke ….Duniya Baghair Mehnat ke mil saktee hai magar Aakhirat baghair mehnat ke nahi milie gi, or is Din ke liye mehnat shart hai
Idrees Azad: aakhriat k liay sirf khaalis niyyat hona zaroori. baqi dunia b chalti rahay aur niyyat theek ho to akhrat theek hoti hay
Idrees Azad: bas
khanzadajee: Niyyat se murad?
Idrees Azad: innmal aamaalu binniyaat
Idrees Azad: hadis hay
Idrees Azad: aamaal ka daaro madar niyat par hay
khanzadajee: theek, magar niyyat ke sath kuch Farz bhi jurey hai
Idrees Azad: matalab?
khanzadajee: Nimaz, Roza Haj Zakat or La iLaha illalah
Idrees Azad: yeh badni tarbiat kay tareeqay hain. har mazhab aur qaom peh paai jatay hain. in ehmiyat is say ziada kuch nahin keh yeh izteraari halat main ulta mana ho jata hain
Idrees Azad: jismaani tarbiat zaroori hay magar dunia ka har kam agar theek niyat say ho to bas wo naiki hay
khanzadajee: Iztarai halat me ulta mana se mai kia samjhoo?
Idrees Azad: maslan jang main kul 2 rakat hotay hain aur aik rakat aik saf walay parh kar chalay jatay hain to doosri saf doosri rakat parhti hay. yeh quran main hay. isi tarah aurat ko haiz kay dino main mana hay. isi tarah nasha ki halat main namaz parhni mana hay
Idrees Azad: isi tarah roza beemar aur musaafir kay liay na rakhnay ki ijazat hay
Idrees Azad: to yeh hain jismaani tarbiat kay tareeqay
Idrees Azad: allah yeh nahin kehta keh meray aagay is tarah jhuko aur us tarah jhuko
Idrees Azad: bas wo kehta keh jis tarah b ho
Idrees Azad: shukar ada karo
Idrees Azad: aur dil say karo
Idrees Azad: main aap ko quran ki aik aayat sunaata hun aap hi faisala karain
Idrees Azad: innallazeen aamanoo
Idrees Azad: wallazeena haadoo
Idrees Azad: wannasaara
Idrees Azad: man aamana
Idrees Azad: billa hi
Idrees Azad: walyoumil
Idrees Azad: aakhiri
Idrees Azad: wa amila saalihan
Idrees Azad: falahum ajruhum
Idrees Azad: inda rabbihim
Idrees Azad: fala khaofun alaihim
Idrees Azad: wala hum yahzanoon
Idrees Azad: aur eeman walay
Idrees Azad: aur yahoodi
Idrees Azad: aur nasraani
Idrees Azad: aur sitaara parast
Idrees Azad: in main say jo
Idrees Azad: allah ko maanta hay aur aakhrat ko
Idrees Azad: aur saalih aamal karta hay
Idrees Azad: us kay liay allah kay pas ajar hay
Idrees Azad: aur un ko koi khaof nahin
Idrees Azad: aur un ko koi huzn nahin
Idrees Azad: ab in ayaat main 4 mazhab kay logon ko Quran nay nijaat ki khush khabri d hay
Idrees Azad: to kia ham is say ziada kia keh saktay hain keh asal cheez amal hay
Idrees Azad: allah ko hamari bhook say koi gharaz nahin
Idrees Azad: us ko hamari niyat say dilchaspi hay
khanzadajee: Agar mai sahih Niyyat se khao ke Ya Muhammad……tu kia theek ho ga?
Idrees Azad: bilkul theek hoga
Idrees Azad: 100 percent
Idrees Azad: agar aap ki niyat theek hogi to
Idrees Azad: aur agar niyat theek nahin hogi aur aap ya allah b kahin gay
Idrees Azad: to theek nahin hoga
khanzadajee: Magar Quran me 1 bar bhi Allah ney yeh nahi kaha ke Ya Muhammad………?
Idrees Azad: kia matlab?
Idrees Azad: allah nay to sara quran ya muhammad keh kar utaara
Idrees Azad: maslan ya ayuhal muddassir
Idrees Azad: ya ayyuhal muzammil
Idrees Azad: ya ayyuhannabi
Idrees Azad: muhammad to aik insan ka nam tha. quran main us insan ki sifat tak say pukara
Idrees Azad: aur phir zati nam bi 3 jaga ayaa
Idrees Azad: aur sara quran direct unhi say mukhatib kar kay utara gia
Idrees Azad: aap ka matlab kia hay is say?
Idrees Azad: aap mujhay aik bat batain
Idrees Azad: keh wo log jo musalmaan nahin hain
Idrees Azad: lekin bahut naik hain
Idrees Azad: un ka kia muaamla hoga?
Idrees Azad: jannat keh jahannam?
khanzadajee: jahnum
khanzadajee: Jannat ke liye musalman hona shart hai
khanzadajee: kionkey janat musalman ke liye banai gai hai
khanzadajee: Dasara Taira ahushaho ka kia matlab hai?
Idrees Azad: to kia yeh insaaf ka taqaza hay?
Idrees Azad: aap khud bolo
khanzadajee: Amal ke lehaz se
khanzadajee: ji han
Idrees Azad: asal main jo aayaat main nay ooper likhin
Idrees Azad: un main ghair mulsimon kay sath jo muaamla hoga
Idrees Azad: wo bataya gia hay
Idrees Azad: asal main islam ka matlab hay salaamti
Idrees Azad: aur jo b salaamti kay nizaam main yaqeen rakhta hay
Idrees Azad: wo musalman hay
Idrees Azad: aur jannat us ka ghar hay
Idrees Azad: asal main ham musalman salamti ko bhool chukay hain aur qatal aur zulm ikhtiar kar kay allah say jannat maangtay ahin
Idrees Azad: yahoodiyon ko b yahi wehm ho gia tha
Idrees Azad: jis ka quran main zika aya hai
Idrees Azad: keh wo kehtay thay keh jannat to sirf hamaray liay banai gai hay
Idrees Azad: islam salamti hay
Idrees Azad: sirf salaamti
Idrees Azad: agar aap aik mandir main aik but kay samnay kharay ho kar b allah waid ko pukartay hain to wo sunta hay
Idrees Azad: allah hamari namazon ko utha kr hamaray munh par day maarta hay. agar un main salaamti kay haq main ikhlaas nahin
Idrees Azad: masjid main uthak baithak karnay ka nam islam nahin (hazrat umar)
khanzadajee: Magar LA ILAHA ILLALAH shirt-e-awal hai ke nahi?
Idrees Azad: La ilaha illallah bay shak shart e awal hay magar arbi main parhna zaroori nahin agarcheh behtar hay. aur bahut behtar hay keh arbi main parha jai. ab agar aik jazeera hawai ka banda salamti ka qail hay to wo la ila illaha apni zabanmain keh rha hay
Idrees Azad: ham par arab ki tehzeeb laagoo ki jaanay ki koshish ghalat hay. islam ksi ilaqay ki tehzeeb ko nahin khatam karta
Idrees Azad: ham aaj jis islam ko maantay hain yeh musalman faatiheen ki waja say hamain mila
Idrees Azad: agar ham huzoor kay mizaj shanas hain to ham rahmatul lil aalameen kay naqsh e qadam par chalain gay
Idrees Azad: aur rahmat ka matlab to ap ko ata hoga
Idrees Azad: quran nay huzoor ko aalameen k liay rahmat kaha hay
Idrees Azad: salamti aur rahmat kay ilawa islam nay kabi koi bat nain ki
Idrees Azad: einstine musalman tha kiunkeh wo naik b tha aur aik khuda ka qail b tha
Idrees Azad: isi tarah laakhon log aur b hain
Idrees Azad: ham nay apni alag dukan kiun bana rakhi hay?
Idrees Azad: kia ham yahood kay naqsh e qadam par chaltay hain
khanzadajee: Dukan tu nasamjhi ki alamat hai
khanzadajee: warna islam tu itna nahi jitna hum paish kartey hai
khanzadajee: or duniya ko karobar banya howa hai, halankey jab Allah ke ahkam or Nabi ke tareqey Toot rahey ho tu musalman per duniya ka karobar karna haram hai
khanzadajee: Kia yeh fatwa theek hai?
To be Continued…………………..